My first and maybe last Urdu poem...
Zindagi haath se chhootti gayi
Zarra ba zarra
Reth ki tarah phisalti gayi
Main ne koshish bohot ki
K samet loon apni duniya ko
Khushi ko bus mein karloon
Magar khushi thhi
k mujh se roothti gayi
Zindagi haath se chootti gayi
Khud ko kuch yun dhoondti gayi
Dar ba dar
Purani galiyon se guzarti gayi
Kuch khwaab chhod aayi thi
Socha unhein awaaz doon
Lekin veeraniyon k siva
Kuchh na mila
Meri awaz akeli goonjti gayi
Zindagi haath se chootti gayi
Kuch khat kayi baar padhti gayi
Harf ba harf
Aansuon se likhai bhigoti gayi
Khaton mein wade piroye they
haqeeqat magar kuch aur thhi
Chaahat k samundar mein uthti
Umeed ki har leher
Waqt k chataanon pe tootti gayi
Zindagi haath se chhootti gayi
2 Comments:
Wow..
that's all I'm going to say
Wow
mashallah ... bahot hi aala ... ummeed hai ki yeh aapki aakhri nazam nahi hai ... aur inshAllah aglay nazmon mein gham ki bajaye khushiyan jhalak rahi ho
Post a Comment
<< Home